top of page
Search

IPC ka Section 498A kya hai?

  • Writer: PrepDev
    PrepDev
  • Dec 22, 2024
  • 3 min read
IPC ka Section 498A kya hai?

IPC ka Section 498A kya hai?


"Section 498A - Kisi women ka husband ya husband ka relative jo us women par cruelty kare.


Kisi women ka husband ya uska relative jo us par cruelty karta hai use jail hogi jo 3 years tak extend kar sakti hai aur us par fine bhi lagaya ja sakta hai.


Explanation - Is section ke liye cruelty ka meaning hoga...


(a) Jaan boozh kar kiya gaya koi kaam jisse koi women suicide karne par mazboor ho jaye, ya jis kaam se use khatarnak injury ho jaye ya uski life, body or health (mental ya physical) ko khatra ho jaye.


(b) Kisi tarah ka koi harassment jo is intention se kiya gaya ho ki women ya uske kisi relative par pressure bane, jisse property ya kisi aur valueable cheez se related koi unlawful demand poori ho sake, ya koi harassment jo isliye kiya jaye ki koi demand jo ki gayi thi wo poori nahi ho paayi. "


Section 498A in easy language

IPC ka section 20A section 498A ki baat karta hai. Ye section pehle se IPC me nahi tha. IPC me ise 1983 me add kiya gaya. Ye section kisi women par uske husband ya husband ke kisi relative dwara us women par cruelty kiye jane ke baare me baat karta hai.


Ye section women ko big powers deta hai kyunki isme cheezon ko bahut jyada define nahi kiya gaya hai, kyunki agar jyada define kar diya jata toh uska scope kam ho jata. Ab kyunki is section ka scope kafi big hai toh ye women ko ye power deta hai ki unhe sochna na pade ki wo unke husband ya husband ke relative dwara kiye gaye kisi kaam ke liye court ja sakti hai ya nahi aur khaas kar dowry ke cases me.


Section 498A IPC case - Kailasben

A Case - Kailasben

Gujarat High court me ek case aaya. Ek lady thi Kailasben jo kisi village se belong karti thi aur jinki marriage Ahmedabad me hui thi. Unke in-laws ki taraf se unhe bahut criticize kiya jata tha.

Kyunki wo village se thi toh husband ki family unhe bewakoof bolti thi aur alag alag taunt marti thi, ki tumhe to gas stove bhi jalana nahi aata tum ahemdabad jaise city me rehne layak nahi ho. Yahan tak ki Kailasben ghar ke bathroom ko bhi use nahi kar sakti thi kyunki unhe aisa karne ke liye mana kiya gaya tha kyunki wo village se aayi thi.

Aise hi ek din jab Kailasben aur unki mother in law me kisi baat ko lekar jhagda ho gaya toh unke brother in law ne unse ye keh diya ke tum kerosene daal kar mar kyun nahi jaati.

Thodi der baad unki mother in law ne bhi unse ye hi bol diya jisse wo instigate ho gayi aur gusse me apne aap ko jala liya.

Is case me family ke sabhi involved members ko section 498A ke under punishment mila.


A joint Indian family

Is section ki definition ke hisab se kuch baton ka meaning bahut wide ho jata hai jaise husband ke relatives me kisi ko bhi include kiya ja sakta hai.

Example - A Case

Ek aisa case hua jahan ek person ki marriage ho chuki thi par uske baad bhi usne extra marital affairs kiye hue the. Jab uski wife ko ye baat pata chali to usne section 498A ke under apne husband par case kar diya, aur to aur husband ki girlfriend ko bhi isme include kar liya, ye kehkar ki wo uski relative hai, par kaafi cases me court ne girlfriend ko relative nahi mana.

But aisa bhi ek case saamne aaya jab court ne ye kaha ki agar girlfriend wife ki tarah reh rahi hai aur husband ke friends aur relatives bhi uski girlfriend ko uski wife ki tarah hi dekhte hai toh us par bhi case ho sakta hai aur use bhi relative mana ja sakta hai.

Theek isi tarah se women se related person ki bhi definition bahut wide ho sakti hai jis par husband ki taraf se property ki demand ke liye pressure banaya ja raha ho. Iske alawa harassment term ka use bhi bade general way me kiya ja sakta hai, jisme kuch bhi include kiya ja sakta hai. Toh agar koi women ise galat tarike se use karna chahti hai to wo kisi ka bhi name le sakti hai aur koi bhi reason de sakti hai.



Indian Constitution bare acts

Comments


bottom of page