Bharat me East India Company ki Entry.
- PrepDev
- Aug 11, 2024
- 3 min read

East India Company ki India me Entry.
Aaj ke time me koi business kaise start hota hai? Kuch log sath baith kar kuch plan karte hai, fir apne apne hisab se usme invest karte hai. Koi 2 lakh invest karta hai to koi 20 lakh or profit bhi usi hisab se milta hai. 2 lakh wale ko profit me thoda hissa milta hai or 20 lakh wale ko jyada.
Theek isi tarah se baat hai 1599 ki jab kuch logo ne sath milkar East Indies ke venture ke bare me discuss kiya. (East Indies - Pehle Indonesia or Malaysia wale area ko Indies name se jana jata tha. Jab Columbus Indies ki khoj me nikla to wo kahin or pahunch gaya, par use laga ki wo Indies ke west part me pahuncha hai or aise ban gaya West Indies or Indies divide ho gaya East or West indies me). In logo me sabhi tarah ke log include the jaise politician, businessman, administrators etc. In sabhi logo ne thoda thoda paisa invest kiya or inke paas 30,133 pound collect ho gaye, jo ki us samay ke hisab se 65 lakh rs bante hai or jo aaj ke hisab se 87 crore ke aas pas bante hai.

Ab in sabhi logo ne is venture ke permission ke liye England ki rani ko ek application di jo approve nahi ho payi par ye log fir bhi apne venture ki taiyari karte rahe. Next year fir se in logo ne 31 Dec 1600 ko queen ko application di jo abki baar approve ho gayi or queen ne in logo ko East me trade karne ka royal charter de diya. (Charter ka meaning hota hai kisi country ki supreme authority dwara di gayi written permission jisse kisi body ko establish kiya jata hai ya use rights diye jate hai.) Or is tarike se EIC establish hui.
Amazon.com ke bare me to sab ne suna hi hoga. Asal me amazon se pehle is company ka name tha ‘relentless’ yani kabhi na rukne wala, or fir baad me badal kar iska name amazon rakha gaya. Isi tarike se pehle EIC ka name tha Governor and company of merchants of London trading into East Indies. Means - Governor or London ke business men ki company jo East Indies me business karegi. Is company me 1 Governor or 24 directors the.

Royal charter ke hisab se EIC ko east me trade karne ke exclusive rights mil gaye the, yani inke alawa ab koi or east me trade nahi kar sakta tha. Aisa karne ke liye pehle use EIC se licence lena padta. Or agar fir bhi koi aisa karte hue pakda jata to uske ships or uska saman seize kiya ja sakta tha, jisme se half queen ke paas chala jata or half EIC ke paas. Iske alawa use jail bhi ho sakti thi.
EIC ke log India me ek businessman ki tarah aaye the jisme pehle inka irada sirf business karne ka tha par jaise jaise inka hold increase karta gaya, ye ek territorial power ki tarah establish hone lage. Iska ek bahut acha example hai Gupta brothers jo ki Uttar Pradesh ke Saharanpur se belong karte the or business ke liye South Africa gaye the par dheere dheere unhone apna control is tarah se increase kar liya tha ki unke relations direct wahan ke President se ho gaye or wo wahan ki politics ko affect karne lage.

Ab ye to bahut natural hai ki jab kisi territory me 2 leaders honge to fights toh jarur hongi. Theek isi tarah se jab EIC ki power badhne lagi to India ke native rulers se uski fights hui jinme 2 fights important hai - Battle of Plassey and Battle of Buxar jinme britishers jeet gaye. Buxar me haar ke baad Indian rulers or Britishers me ek treaty(sulah) hui jisse diwani rights company ke paas aa gaye. (Diwani Rights - Matlab Company ab Indian emperor ke behalf pe tax collect kar sakti thi, badle me usko emperor ko every year 26 lakh dene the, yani 26 lakh se extra sara paisa ab company ka hone wala tha).
Ye to sabhi jante hai ki jiske paas paisa, power bhi usi ki or is tarah se in fight ke baad India par EIC ka control ho gaya.
コメント