
Benefits Of Knowing UPSC Syllabus
Abhi tak humne dekha, syllabus ki importance ke bare me, use ignore karne ke consequences ke bare me or ab hum dekhnge ke syllabus memorization ke kya kya benefits ho sakte hai. Syllabus memorization ke bahut saare benefits ho sakte hai jo end me discuss kiye gaye hai. Pehle hum ye dekh lete hai ke toppers ko iske kya benefits hue or iske baare me unka kya kehna hai.
Tina Dabi - All India Rank 1
Ek Institute me diye gaye interview ke base par.
“For instance if I know my upsc syllabus and I start reading the paper, although this is Times of India, you guys have to read The Hindu. Hindu is not so colorful. So you read The Hindu and maanlo ye headline hai, government lowers gst rates for whatever whatever for 66 items. So if we know the syllabus in our mind. Hamare tips pe hai syllabus! Automatically we will remember Indian economy and development. This is part of indian economy. So this is relevant.“
Sabse pehla benefit jo Tina Dabi ne bataya wo ye, ke newspaper me kya padhna hai ye syllabus aspirants ko batayega. Newspaper jo har aspirant ke liye challenging hota hai, syllabus ka memorization uske liye sanjeevini jaisa hi ho sakta hai. Syllabus memorization preparation ko smart banata hai or ye bilkul true bhi hai.
Jagriti Awasthi - All India Rank 2
Ek Institute me diye gaye interview ke base par.
“Jab maine in topics(Syllabus points) ko ek baar padh liya, fir hum kaise samjhe ki un topics me, kyunki topics apko bahut hi vast lagenge, thoda sa apko lagega inka coverage bahut wide hai ki, Indian art forms ke salient features. Toh bahut sare art form hai India me, toh hum kisko padhe. Uske liye apko kya karna hai? Aap questions lijiye. Topic wise previous years questions aap ko lene hai. Topic wise pre and mains questions previous year ke. These are previous years questions jo segregated hai topic wise and year wise. Acha Mai kya karti thi, jaise maine kaha maine bullet point wise print kiye hai har topic ko, GS 1, 2 ,3 4 ko fir unko file me lagaya. To jo questions the mai unko attach karti thi usi bullet ke neeche. Uske baad apko kya karna hai. Apko question ko topic se relate karna hai, jo bullet topic hai syllabus ka or jo questions aaye hue hai. Fir questions ko samajhiye, question ke topic ko ek baar bas identify kariye or ye dekhiye kaunse topic se jake ye match kar raha hai. Is tarike se aap ko mapping karni hai topic of syllabus or aaye hue questions ki.“ Outcome kya hoga aise analysis ka? Ek to pattern of question samajh me aa gaya ki, what kind of pattern is being asked in the examination. Kis tarike se padhai ki jaye. Jaise maine ek cheez notice ki, ki jo pattern hai wo kahi na kahi mains me specifically. Prelims me to samajh me aa jata hai mcqs hai likhne ka koi issue nahi hai. Mains me maine dekha ki usually questions are more like ke what the topic is? What are the pros cons ? Wahi disadvantages advantages wala analysis, positive negative analysis. Uske baad me jo wo baat karte hai, they talk about what is being done. What more needs to be done and what is your overall vision. Iska outcome kya hua. Mujhe puri understanding thi syllabus ki, aaye hue questions ki. Definitely apko bahut help milegi.``
Jagrati bata rahin hai ke aspirants kaise identify kar sakte hai ke kisi topic me kya padhna hai kyunki koi bhi topic bahut wide ho sakta hai. Iske liye wo topic wise and year wise PYQs consider karne ko keh rahi hai. Wo bata rahin hai ke wo khud bhi syllabus ke points ke neeche questions attach kiya karti thi. Jagriti bata rahi hain ke un PYQs ki, jo identify kiye gaye hai unki, fir syllabus se mapping karni hai. Darasal Jagriti shayad yahan micro mapping ki baat kar rahin hai kyunki syllabus ka ek bullet point bahut sare micro topics se milkar banta hai. Ab In sab ka ye benefit hota hai ke isse ye samajh me aata hai ke questions kin kin topics se jyada puche ja rahe hai. Iske alawa Jagriti ye bhi bata rahi hai ke syllabus analysis agar aap kar lete hai to aap idea laga sakte hai ke kis pattern par questions puche ja rahe hai jo ki normally pros, cons, challenges etc par based ho sakte hai. Ye absolutely true hai. Jab tak aspirants syllabus ko nahi samajhte to unhe lagta hai ke UPSC syllabus is a synonym of universe. Par syllabus janne ke baad sab kuch crystal clear dikhai dene lagta hai.
Uma Harathi - All India Rank 3
Ek Institute me diye gaye interview ke base par.
“So for every syllabus topic in gs and optional i had introductions and conclusions ready. So if you tell me any topic, lets say separation of powers or anything. So i already have conclusions and introductions ready.”
Uma bata rahin hai ke kaise syllabus approach se unhone pehle hi apne introductions or conclusions prepare kar liye, jiski wajah se unhone kafi time save kar liya. Agar general baat ki jaye to complete syllabus me 60 points hai or micro level par ye 150 se jyada ho jate hai to sochiye aspirants kitna time save kar sakte hai.
Junaid Ahmad - All India Rank 3
Ek Institute me diye gaye interview ke base par.
“Syllabus and previous years papers wo ek tunnel hai apko pura way dikhayenge civils ko kis tarike se crack karna hai. Toh in the starting when you are coming in to this preparation do focus on previous years papers and syllabus they are very very important.”
Junaid keh rahe hai ke syllabus or pyqs ek tunnel hai jo apko way dikhayenge ki civils ko kaise crack karna hai or agar aap upsc preparation start kar rahe hai to in dono par ap focus kare jo bahut jyada important hai.
Aishwarya Verma - All India Rank 4
Ek Institute me diye gaye interview ke base par.
“Jab aap syllabus pura memorize kar lete ho, apko ye pata chal jata hai ke newspaper se kya padhna hai. Front page kholiye. Jab front page dekhenge aapko dikhegi political news, kahin nahi aayegi. Kai baar puchte hai na ki examples kahan se aate hai. Toh examples newspaper se aate hai or wo dhunde kahan se jate hai, wo syllabus se dhunde jate hai. Agli baar jab bhi newspaper leke baithna dimag me bilkul pinpoint kar lena ki kya mera ye jo mai padh raha hun, ye fun ke liye padh rahe ho no doubt, koi jaise kai baar sports me kai logo ko maza aata hai, kai logo ko jo beech me filmi news aati hai usme bhi maza aata hai, entertainment ke liye padh rahe ho well and good. But agar newspaper ko as a examination perspective se padh rahe ho then syllabus is very important. Or ye GS 2 or GS 3 ke liye bahut important hai . GS 3 me ek topic hai inclusive growth. Ab newspaper me news aati hai ke oxfam ki report aayi jisne bataya ke 77% of the wealth is being held with 1% of the individuals. Ye news aayegi. Ab aapko ye dekhna hai ke GS 3 me ek explicit syllabus hai jise hum kehte hai inclusive growth . Ye data aap wahan par use nahi kar sakte, ye dikhane ke liye ke India me kitni inequality hai. Inclusive growth me aap us point ko use kar sakte hai. Toh point ye hai ke pura agar syllabus apko ache se yaad hai to koi senseless news bhi kai baar agar aati hai, usko bhi aap bahut pragmatic way me implement karke value addition kar sakte hai.”
Aishwarya verma ek baar fir se ye hi bata rahe hai ke newspaper reading ke liye syllabus memorisation bahut zaruri hai. Iske sath sath coachings bhi apse ye keh rahi hai ke, agar aap previous years papers dekhenge to apko ye pata chalega ke 80% se jyada questions syllabus se directly puche gaye hai.
Srushti Deshmukh - All India Rank 5
Ek Institute me diye gaye interview ke base par.
“Agar abhi confusion hota hai ke ye topic aane wala hai ya nahi aane wala hai to apka ek guide or hai , wo hai previous years papers, unko dekhte rahiye, kis prakar ke questions puche ja rahe hai, kya trend hai usko khud hi analyze kariye.”
Shrushti bata rahin hai ki syllabus ke alawa ek or guide hai or wo hai previous years questions(PYQs). PYQs se hum ye pata lagate hai ke kis topic se kya pucha ja raha hai par ye hum tabhi kar pate hai jab syllabus hame memorize hota hai warna to hum keh dete hai ke UPSC kuch bhi puch leta hai. Is book se aspirants ko ye benefit milta hai ke kuch hi minutes me aspirants pyqs ko syllabus se link kar paate hai.
Ab ye toh ho gayi toppers or coachings ki baat, par ab hum wo benefits dekhte hai jo hamare samne to hote hai par hum unhe kabhi observe nahi kar paate.
Syllabus agar hame memorize ho to sabse pehla benefit jo hame milta hai wo hai preparation ki duration me reduction. Jab syllabus hame pata hota hai to exactly hum wohi padhte hai jo hame padhna hota hai or baki topics hum exclude kar dete hai jisse preparation ki duration me multifold reduction hota hai. Iske alawa PYQs ko hum bahut easily syllabus se link kar pate hai or thode analysis ke baad ek pattern bhi observe kar pate hai. Jaise hum dekhenge ke GS Mains Paper 3 me infrastructure ke point ke liye again and again, PPP model ko lekar questions kiya gaye hai.
Syllabus memorisation kisi bhi topic ki boundaries set karne me hame extremely efficient banata hai. Hum ye identify kar pate hai ke kisi topic se kis kis area me questions kiye ja sakte hai. Jaise topic ke pros, cons, challenges, applications, modifications etc. Iske sath sath syllabus memorisation ki wajah se previous years papers ko observe kar, hum kuch limit tak, future me puche jane wale questions ko bhi predict kar sakte hai, jo exam me hamare liye extremely beneficial ho sakte hai.
Jab syllabus hame pata hota hai to hum easily ye identify kar pate hai ke koi question kis context me pucha gaya hai jaise, paper 3 me pucha gaya ye question.
Q.The China-Pakistan Economic Corridor (CPEC) is viewed as a cardinal subset of China’s larger ‘One Belt One Road’ initiative. Give a brief description of CPEC and enumerate the reasons why India has distanced itself from the same.
Is questions ko dekh kar aspirants usually ye hi samajhte hai ke ye international relation ka part hai jo ki paper 2 ke syllabus me hai. Par syllabus agar hame pata ho to hum is questions ko paper 3 ke syllabus se efficiently connect kar sakte hai or expected answer likh sakte hai jisse definitely hi hum mains me jyada marks score kar sakte hai. Iske alawa ek jo bada benefit hame isse milta hai wo ye hai ke hum only one year ki preparation me achi rank ke sath UPSC crack kar sakte hai. Jab ye sare benefits collectively work karte hai to hamari preparation ko kam duration me bahut jyada efficient banate hai jisse hum 1st attempt me achi rank ke sath upsc qualify karne ke liye capable ho jate hai.
In sab ke alawa iske or bhi bahut sare benefits hote hai jaise peeping into examiner mindset ya extracting necessary part from the books. So in total syllabus memorization ke numerous benefits ho sakte hai.